Jane kyu log muhabbat Lyrics

Film                     Mehboob Ki Mehndi
Music Director   Laxmikant Pyarelal
Lyricist               Anand Bakshi
Singer                Lata Mangeshkar

hmmmmmmmmm
is zamane main, is muhabbat ne
kitne dil tode, kitne ghar phunke

jane kyu log muhabbat kiya karte hain…….2
dil ke badle dard-e dil, liya karte hain
jane kyu log muhabbat kiya karte hain
hmmmmmmmmm
tanhai milti hai, mehfil nhi milti
rahain muhabbat main kabhi manzil nhi milti
dil toot jata hai, nakam hota hai
ulfat main logon ka yahi anjam hota hai
koi kya jane, kyu ye parwane
kyu machalte hain, gam main jalte hain
aahain bhar-bhar ke deewane jiya karte hain…….2
jane kyu log muhabbat kiya karte hain

sawan main aankhon ko, kitna rulati hai
ulfat main jab dil ko, kisi ki yaad aati hai
ye zindgi yun hi, barbaad hoti hai
har waqt hothon pe koi friyaad hoti hai
na dawaon ka, naam chalta hai
na duano se, kaam chalta hai
zeher ye phir bhi sabhi kyu piya karte hain…….2
jane kyu log muhabbat kiya karte hain

mahboob se har gam mansoob hota hai
din-raat ulfat main, tamasha khoob hota hai
raton se bhi lambe, ye pyar ke kisse
aashiq sunate hain, zaphaan ye yar ke kisse
bemurabbat hai, bewafa hai wo
us sitamgadh ka, apne dilwar ka
naam le-le ke duhai diya karte hain…….2
jane kyu log muhabbat kiya karte hain